Wednesday, September 9, 2009

Ek suraj tha k taaron k ghrane se utha,

Ek suraj tha k taaron k ghrane se utha,
aankh hyran he kia shkhs zmane se utha,

kis se puchon tre aaqa k pata ay rahwaar,
ye alm wo he na abtk kisi shaany se utha,

halqa-e-khwab ko hi grd-e-gulo kas dala,
dst-e-qatil ka b ehsan na dwany se utha,

phr koi aks shua'on se na bn'ny paya,
kesa mehtab mere aaina khany se uttha,

kia likha tha sar-e-mehzar jisy pehchany hi,
paas betha hua hr dost bahany se uttha,

aaj tk shehr ka chehra nhi dhulne paya,
gard ka kesa bgola tre jany se uttha,

zndgi men ye bdn sho'la-e-jawwala tha,
moja-e-srd mri rakh thikany se uttha,

dhaal ab wqt k hathon me he ay teer andaz,
rkh de ek smt kaman hath nishane se uttha,

dil tri chasm-e-madaraat sy bea't tha to phr,
kis trah bzm men oron k uthane se uttha,

doodeek seena-e-sozan se bhala kia drna,
wo dhuan dekh jo sho'lon k bujhany se uttha,

dil dukha to khuli hy mere wjdaan ki ankh,
ek shgofa tha k shbnm k jgany se uttha,

sonp de apna hunar unko k jinka haq he,
wqt aya he k ab saanp khazany se uttha...!

No comments:

Popular Posts