Wednesday, September 9, 2009

Main Or Meri Tanhai Akser Ye Batain Kartay

Main Or Meri Tanhai Akser Ye Batain Kartay
Tum Hoti To Kesa Hota Tum Ye Kehti Tum Wo Kehti
Tum Is Baat Pe Heran Hoti Tum Us Baaat Pe Kitna Hansti
Zindagi K Safr Me Guzer Jataay Hain Jo Makaan
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Tum Hoti To Esa Hota Tum Hoti To Wesa Hota
Me Aur Meri Tanhai Akser Ye Batain Kerte
Phol Khilte Hain Log Mitay Hain
Magr Pat Jhar Me Jo Phol Murjha Jatay Hain
Wo Baharon K Anay Se Khiltay Nahi
Kuch Log Ek Roz Jo Bechar Jatay Hain
Wo Hazaron K Anay Se Miltay Nahin
Umer Bhar Chahay Koi Pukara Karay Unka Naam
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Ye Chand Hai Ya Tumhara Kangan
Sitaray Hain Ya Tumhara Anchal
Hawa Ka Jhonka Hai Ya Tumharay Badan K Khushboo
Ye Patttiyon Ki Hai Sar Sarahat K Tum Ne Chupke Say Kuch Kaha Hai
Subha Ati Hai Raat Jati Hai Yunhi
Wakt Chalta Hi Rehta Hai Rukta Nahi
Ek Pal Me Yeh Agai Nikal Jata Hai
Admi Theek Sai Dekh Pata Nahi
Aur Parday Sai Manzar Badal Jata Hai
Ek Bar Chalai Jatai Hain Jo Din Raat Subha Sham
Wo Phir Nahi Atay Wo Phir Nahi Atay
Ye Sochta Hooon Me Kabse
K Jab K B Ye Mujko Khaber Hai K Tum Nahi Kahin Nahin Ho
Mager Ye Dil Kehraha Hai K Tum Yehin Kahin Ho
Yehin Kahin Ho

No comments:

Popular Posts