Friday, September 11, 2009

Yoon be_kal be-kal lamhoon main

Yoon be_kal be-kal lamhoon main
Jab bojhal bojhal qadmoon sey
Sahil ki taraf main jati hoon
Tumhain saath main aksarSahil ki taraf main jati hoon
Tumhain saath main aksar paati hoon
Jab aati jati mojoon sey
be-rabt si baatain karti hoon
Tab yaad tumhain main karti hoon

Kabhi aadhi raat ko uth kar jab
Be-wajha tehla karti hoon
Ya apney kamrey ki khirki sey
Chand ko dekha karti hoon
Aur uss ki thandi roshni ko
Ang ang main samoya karti hoon
Tab yaad tumhain main karti hoon

No comments:

Popular Posts