Friday, September 11, 2009

yun he do pal sahi ghamgeen dil ko shaad karte hain

yun he do pal sahi ghamgeen dil ko shaad karte hain
ameer-e-shehar k agay koe faryad karte hain

thikana dhondhtay hain ab kise ujray hoey dil main
cholo aao koe veraan ghar aabaad karte hain

tumharay ye jahan wale hamain pagal samjhtay hain
bhola detay hain khud ko ham tumhain jab yaad karte hain

unhain fursat kahan betaab dil ka haal sunnay ki
hamaray waste kab wqt wo barbaad karte hain

porani baat hai toufan k rukh ko palat dena
jo dil ko phair day aisa hunar ejaad karte hain

ye khamoshi se barson in ki bunyadon main palte hain
gharoun ko nafratoun k zalzalay barbaad karte hain

tumhari goud main sar rakh k sona chahte tu hain
magar kab rizq k zindaan hamain aazaad karte hain

No comments:

Popular Posts