Monday, February 15, 2010

Hum teray shehar may aayey hain musaafir ki tarah

Hum teray shehar may aayey hain musaafir ki tarah,
Sirf ik baar mulakaat ka mauka dey dey !



Meri manzil hai kahan mera thikana hai kahan,
Suboh tak tujh say bichad kar mujhay jaana hai kahan,
Sochnay kay liyey ik raat ka mauka dey dey !



Apni aankho mein chupa rakhey hain jugnu mainay,
Apni palkon pay saja rakhay hain aansoo mainay,
Meri aankho ko bhi barsaat ka mauka dey dey !



Aaj ki raat mera dard-e-mohabbat sun ley,
Kup kapatay huey hothon ki shikayat sun ley,
Aaj izhaar-e-khayalaat ka mauka dey dey !



Bhoolna tha to yeh ikraar kiya hi kyon tha,
Bewafa toonay mujhay pyaar kiya hi kyon tha,
Sirf do chaar sawaalaat ka mauka dey dey !



Hum teray shehar may aayey hain musaafir ki tarah,
Sirf ik baar mulakaat ka muaka dey dey !

No comments:

Popular Posts