Monday, February 15, 2010

Kaun aayega yahan koi na aaya hoga

Kaun aayega yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !



Dil-e-naadan na dhadk ay dil-e-naadan na dhadak,
Koi khat ley kay padosi kay ghar aaya hoga !



Gul say lipti hui titli ko gira kar dekho,
Aandhiyaan tumnay darakhton ko giraaya hoga !



Kaif pardes mein mat yaad karo apna makaan,
Ab kay baarish nay usay tod giraaya hoga !



Kaun aayega yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !

No comments:

Popular Posts