Monday, March 8, 2010

Mai ne her-chand ghum-e-ishq ko khona chaha

Mai ne her-chand ghum-e-ishq ko khona chaha
ghum-e-ulfat ghum-e-dunya mai samona chaha

wohi afsaanay meri simt rawaan hain ab tak
wohi sholay mairay seenay mai nihaan hain ab tak
wohi bay-sood khalish hay mairay seenay mai hanooz
wohi bay-kaar tamannaein jawaan hain ab tak
wohi gaisu mairi raaton pai hain bikhray bikhray
wohi aankhain meri janib nigraan hain ab tak
kasrat-e-ghum bhi mairay ghum ka madawa na huwi
mairay bay-chain khayalon ko sakoon mil na saka
dil ne dunya kay her dard ko apna to liya
muzmahill ruh ko andaz-e-junoon mil na saka
mairay takhaiyyul ka sheraaza berhum hay wohi
mairay bujhtay huway ehsaas ka aalim hay wohi
wohi bay-jaan iraday, wohi bay-rang sawal
wohi bay-rooh kashakash, wohi bay-chain khayal
Aah iss kashmakish-e-subah-o-masa kaa anjaam
mai bhi nakaam, meri sai-e-amal bhi nakaam

No comments:

Popular Posts