Monday, March 8, 2010

Mere Likhe Mein Jin Logonko, Maayusi Dikhayi De

Mere Likhe Mein Jin Logonko,
Maayusi Dikhayi De,
Thakan Ka, Aarzuon Ki Shikasta Paayi Ka Ehsaas Hota Ho,
Safar Ki Raayegaani Ka,
FiraaQ-E-Zindagi Ka,
Vufoor-E-Dard-O-Gam Ka,
Aansuon Ko AQs Milta Ho,
Jinhe Lagta Ho
Main Iske Siwa Kuch Likh Nahi Sakta,
Unhe Bas Itna Kehna Hai,
Ye Maayusi, Thakan,
Ye Aaruzon Ki Shikasta-Pa Safar Ki Raayegani Ka,
FiraaQ-E-Zindagani, Dard-O-Gam Aur Aansuon Ki Be-Karaani Ka,
Jhalakta Aks Be-Maani,
Nahi Qaayam Kahin Par Bhi Wajood Iska,
Agar Kuch Hai To Bas Padhti Hui Aankhon Ke Pichhe Hai,
Inhi Padhti Hui Aankhon Ke Zehn-O-Dil Ke Neeche Hai,
Kayi Pardon Mein Posheeda,
Wohi Gard-E-Safar, Dard-O-Alam, FurQat, Thakan, Aansu,
Nazar Jinse Milate Inko Shayad Laaj Aati Hai,
Ye Sab Haare Hue Hai,
Lekin Apni Haar Ka Ailaan Karne Mein,
Jhijhakte Hai,
Reya Ki Bediyon Mein Apni Marzi Se MuQayyad Hai,
Mere Likhe Hue Mein Daastanein Dhoondne Wale,
Ye Khud Se Jhooth Keh Kar Chal Ke Sehra Mein Bhatakte Hai,
Samajhte Hai Jise MERA,
Mere Likhe Hue Lafzon Mein Apna AQs Takte Hai,
Mera Kya Hai,
Mera To Kaam Hai Alfaz Ki Baazigari Karna,
Kaho, Itna To Aakhir Maante Ho Na,
Main Shayar Hoon...

No comments:

Popular Posts