Sunday, April 18, 2010

Kisi Khushnigaah Ki Aankh Ne

Kisi Khushnigaah Ki Aankh Ne Ye Kamaal Mujhpe Karam Kiya,
Meri Loh-E-Jaan Pe Raqam Kiya,
Wo Jo Ek Chand Sa Harf Tha Wo Jo Ek Sehma Sa Naam Tha,
Wo Jo Ek Phool Si Baat Phirti Thi Darbard
Use Gulsitan Ka Pata Diya,
Mere Dilka Shaher-E-Malaal Tha Use Roshni Me Basa Diya,
Meri Aankh Aur Mere Khwab Ko Kisi Ek Pal Mein Beham Kiya,
Mafre Aaino Pe Jo Gard Thi Mah-O-Saal Ki,
Wo Utar Gayi,
Wo Jo Dhoond Thi Mere Chaaro Soo Wo Bikhar Gayi,
Sabhi Roop Aks-E-Jamaal Ke,
Sabhi Khwab Shaam-E-Khayal Ke,
Jo Ghubaar-E-Waqt Me Sas Basar The Aate Hue,
Wo Chamak Uthe,
Wo Jo Phool Raah Ki Dhool The Wo Mehek Uthe,
Liye Saat Rang Bahaar Ke,
Chala Main Jo Sang Bahar Ke,
To Saja Diye Sabhi Raaste,
Kisi Dast-E-Shubdahsaaz Ne,
Mere Naam Par Mere Waaste,
Meri Beghari Ko Panaah Di Meri Justaju Ko Nishan Diya,
Jo Yakeen Se Bhi Haseen Hai Mujhe Ek Aisa Guman Diya,
Wo Jo Reza Reza Wajood Tha,
Use Ek Nazar Mein Baham Kiya,
Kisi Khushnigaah Si Aankh Ne,
Ye Kamaal Mujh Pe Karam Kiya...

No comments:

Popular Posts