Sunday, April 18, 2010

Yahan Charon Taraf Kagaz Hai Bikhre

Yahan Charon Taraf Kagaz Hai Bikhre,

Ki Soch Unpar Din Bhar Khelti Hai,

Kabhi Hansti Hai To Kabhi Jhagadti Hai,

Kabhi Main Laakh Chahun Paas Na Aati,

Mujhe Kuch Door Se Hai Munh Chidhati,

Ye Mujhko Chain Se Rehne Na Deti,

Ye Kaisi Mushkilon Me Aa Fansi Hoon,

Ke Ek KashMakash Si Charo Soo Hai,

Wo Ek Hansti Si Soch Ko Jo Likh Dun,

To Wo Royi Si Bas Hai Rooth Jati,

Jo Us Royi Si Ko Jaaun Manane,

To Wo Ek Chulbuli Hai Munh Chidhati,

Ye Sochein Ki Ya Ki Hai Ye DushMan,

Koi Inko Hata Bhi Le Yahan Se,

Ke Main In Sab Se Tang Ab Aa Chuki Hoon,

Ye Mujhko Chain Se Jeene Nahi Deti,

Magar Ek Baat Hai TuMko Bataun,

Ke TuM Ho Mere Apne Isliye Hi,

Main TuMse Keh Rahi Hoon Raaz Rakhna,

Ke Main Inke Bina Kuch Bhi Nahi Hoon,

Jo Inko Hata Do Door Mujhse,

To Main Goongi Si Ho Jaugni Sach,

Ki Mujhko Aati Hai Sirf Inki Bhasha,

Ye Baaqi Duniya Hai Bas Ek TaMasha,

Mera Jo Kuch Bhi Hai Bas Ye Shayri Hai,

Ke Yehi Bas Ab Meri Bandagi Hai,

Khuda Sajda Mera Qubool Karna,

Meri Is Soch Ko Maqbook Karna...

No comments:

Popular Posts