Sunday, May 2, 2010

Ager kabi tum janna chaho

Ager kabi
tum janna chaho
k tum mayray liay kia ho
to sun lo
mayri har sans mayn tum ho
mayri har dharkan mayn tum ho
mayri har ahat mayn tum ho
mayri har chahat mayn tum ho
mayray har lafz mayn tum ho
har nam tumhara nam hai
har bat tumhari bat hai
har lafz jo mayray lab par hai
wo tumhara kaha hoa hai
har lamhay mayray zehen mayn tum ho
har khuwab mayn tum ho
har nazar mayn tum ho
har lamhayn mayray khiyalon mayn tum ho
har yad tumhari yad hai
har yadoon mayn tumhari yadayn hayn
har chehray mayn tumhara chehra hai
har sitary mayn lagta hai
tumhara kangan chamakraha hai
har khushbo tumharay
badan ki khushbo lagti hai
chand mayn tumhara chehra dikhta hai
mayri har adat tumhari adat hai
mayra ye jewan tumhara nam hai
mayri zindagi tumhary nam hai
mayri zindagi tumsay hai
mayri payhli aur akhri mohobat tum ho

No comments:

Popular Posts