Sunday, May 2, 2010

Wo sham us mokam ki ik payr k saay talay

Wo sham us mokam ki
ik payr k saay talay
hathon mayn mayra hath lay k
us nay kaha tha hayn garam bohot tumharay hath
phir mayray ik sawal par usnay kaha tha
hai nishani hathon ki garmi
sachi mohobat sachi wafa ki
jany kitnay mousam beet gay
jany kitnay payr sokh gay
aaj phir usi maqam par
usi payr k say talay
sochta hon mayn ye k
hath us k sard thay

No comments:

Popular Posts