Monday, May 10, 2010

ik-ik patthar jor k main ne jo diwar banai hai

ik-ik patthar jor k main ne jo diwar banai hai
jhanku us ke pichhe to ruswai hi ruswai hai

yon lagta hai sote jagte auron ka mohtaj hun main
ankhen meri apni hain par un mein nind parai hai

dekh rahe hain sab hairat se nile-nile pani ko
puche kaun samandar se tujh mein kitni gahrai hai

sab kahte hain ik jannat utri hai meri dharti par
main dil mein sochun shayad kamzor meri binai hai

bahar sahan mein peron par kuch jalte bujhte jugnu the
hairat hai phir ghar k andar kis ne ag lagai hai

aj hua malum mujhe is shahar k chand sayanon se
apni rah badalte rahna sabse bari danai hai

tor gaye paiman-e-wafa is daur mein kaise kaise log
ye mat soch 'Qateel' k bas ik yar tera harjai hai

No comments:

Popular Posts