Monday, May 10, 2010

milkar juda hue to na soya karenge ham

milkar juda hue to na soya karenge ham
ek dusre ki yad mein roya karenge ham

ansu chalak chalak ke satayenge rat bhar
moti palak palak mein piroya karenge ham

jab duriyon ki ag dilon ko jalayegi
jismon ko chandani mein bhigoya karenge ham

gar de gaya daga hamein tufan bhi 'Qateel'
sahil pe kashtiyon ko duboya karenge ham

No comments:

Popular Posts