Wednesday, May 19, 2010

Na koi khushi mere roobaroo aaey………na koe aarzoo likhoon

Na koi khushi mere roobaroo aaey………na koe aarzoo likhoon
Mujhay is simt aanay main
Abhi kuch waqt lagna hai...

Na hum sa khush feham koi……..na koi bewafa un sa
Tamanna ko sulanay main
Abhi kuch waqt lagna hai.!

Zehar aaloud se batain………..hoyeen pewast rag rag main
Hamain khud ko choranay main
Abhi kuch waqt lagna hai..!

Nahi milna muqaddar tha………..muqaddar kub badalta hai
Yaqeen khud ko dilanay main
Abhi kuch waqt lagna hai.!

Bala ka zabt hai mujh main…………magar ye zarb Kadee hai
So khud ko aazmanay main
Abhi kuch waqt lagna hai..!

jo umar bhar roye hain........ ......tootay Jo har baar
so usay muskuranay main
abhi kuch waqt lagna hai...!

No comments:

Popular Posts