Wednesday, May 19, 2010

ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha

ussay apni zaat ki fikar thi wo jo mera wakif e haal tha
woh jo us ki subhe urooj thi woh mera waqt e zawal tha 

mera dard woh kaisay janta meri baat woh kaisay manta
woh to khud fanna k safar main tha usay rokna bhi mohal tha 

kahan jao gay mjhay chor kar main yeh poch poch k thak gaya
woh jawab mujh ko na de saka woh to khud sarapa sawal tha 

woh mila to saddiyon baad bhi mera lab per koi gila na tha
ussay meri chup ne rula dia jisay guftugu main kamal tha

No comments:

Popular Posts