Hajoom-e-ghum say jis dam aadmi ghabra sa jata hai
to aisay main
usay awaz pay qaboo nahi rehta
wo itnay say faryaad karta hai, cheekhta aur bilbilata hai
kay jaisay wo zameen par aur Khuda ho aasmanoon main
magar aisa bhi hota hai
keh uski cheekh ki awaz kay ruknay say pehlay hi
Khuda kuch is qadar nazdeek say aur is qadar
rehmat bhari muskaan say usko thapakta aur us ki baat sunta hai
keh faryadi ko apni cheekh ki shid'dat
sada ki baiyaqeeni par nadamat honay lagti hai~!!
No comments:
Post a Comment