Monday, June 7, 2010

sabr ka payaam aur besabr insaan

sabr ka payaam aur besabr insaan, 
yeh sabr hi hamein tarpaata hai 
mausam badalte rehte hain, 
aur waqt guzarta jaata hai 
mayoosi mein hum baithe hain, 
har khoya lamha dil dukhaata hai 
sab kaam adhure rehte hain, 
ab kaam se kaun dil lagaata hai? 
log hum pe haste hain, 
aur yeh zaalim zamana rulaata hai 
kehte hain log hum se aksar, 
insaan khud apni takdeer banaata hai 
jab sab raaste band hote hain, 
to Khuda ka raasta dil bhehlaata hai 
wo Furqan ko hum na pehchaan sake, 
hum andhon ko kya nazar aata hai? 
mai dil dimaag se mazoor hoon, 
mujhe rone ke siwa kuch nahin aata hai 
koi nahin sunnaa chahta Mousey, 
yeh fasana tu kisko sunaata hai?

No comments:

Popular Posts