Monday, June 28, 2010

Kaash mein teray haseen haath ka kangan hota


Kaash mein teray haseen haath ka kangan hota
Too baray pyaar se, chaao se armaan ke saath
Apni naazuk si kalaayi mein charhaati mujh ko
Aur betaabi se furqat ke khazaan lamhon mein
To kisi soch mein doobi jo ghumaati mujh ko
Mein teray haath ki khushbu se mehak sa jaata
Jab kabhi mood mein aa ker mujhay chooma kerti
Teray honton ki hiddat se mein dehak sa jaata
Raat ko jab bhi to neendon ke safer pe jaati
Mermareen haath ka ek takya banaaya kerti
Mein teray kaan se lag ker kayee baatein kerta
Teri zulfon ko teray gaal ko chooma kerta
Jab bhi too band-e-qaba kholnay lagti jaanan
Apni aankhon ko teray husn se kheera kerta
Mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha
Mein teri rooh ke gulshan mein mehakta rehta
Mein teray jism ke aangan mein khanakta rehta
Kuchh nahin to yahee benaam sa bandhan hota
Kaash mein teray haseen haath ka kanghan hota

No comments:

Popular Posts