Sunday, July 18, 2010

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Bankar


Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Chand Nikla Hai Teri Aankh Ke Aansu Ki Tarah,
Phool Mehke Hai Teri Zulf Ka Saya Bankar,

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Talash Hai,
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar,

Dilke Kagaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah,
Mere Hothon Pe Machalta Hai Tu Nagma Bankar,

Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahi Chehre Ki Chamak,
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Bankar,

Mera Kya Haal Hai Ye Ke Kabhi Dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Waada Bankar,

Dhoop Mein Kho Gaya Wo Haath Chura Kar Aanchal
Ghair Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar,

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Bankar,
Humse Har Sham Mili Hai Tera Chehra Bankar...

2 comments:

Akshay Thakur said...

kya baat hai sir

Akshay Thakur said...

teri saadgi ko salaam, teri deewanagi ko salaam.
... log kehte hain mohbbat ko dard, hmne tere sher ko dawa maan liya.

Popular Posts