Sunday, July 11, 2010

Kehne ko ik ainaa toota..bikher gaya


Kehne ko ik ainaa toota..bikher gaya!
Lekin mere wujood ko kirchiyon se bhar gaya

Main tu kissi khayal kay tanha safar mein tha
Phir kyun laga, qareeb se koi guzar gaya

Ik aashna se dard ne chonkaa diya mujhe
Main tu samanjh raha tha mera zakham bhar gaya

Shayed kay intezaar issi pal ka tha ousse
Kashti kay doobtey hi woh dariya utar gaya

Muddat se ous ki chhaon mein betha nahin koi
Woh saya'daar pairr issi gham main marr gaya

Shayed tamaam nisbatein ous ko mujhi se thiin
Apni har aik yaad mere naam kar gaya

Ik aur shaam dhal gayi sochoon kay dasht mein
Ik aur din bhi khaak urate guzar gaya

Mere hi saath SHAAD safar khatam ho gaya
Main ruk gaya jahan waheen rastaa thehar gaya

No comments:

Popular Posts