Sunday, July 11, 2010

ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai


ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai
abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai

wohi shakhs jis pey apney dil'o'jaan nisaar ker doun
wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai

kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai

merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein
wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai

mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai'en raha houn
tera jism be'taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai

unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey
mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai...!

No comments:

Popular Posts