Monday, July 19, 2010

Mohabbat Aur Khwahish Mein Kayi Benaam Rishte Hai


Mohabbat Aur Khwahish Mein Kayi Benaam Rishte Hai,
Magar Jo Gaur Se Dekhein,
To Dono Mein Bahut Se Faasle Bhi Is Tarah Maujood Hai Jaise,
Samundar Ek Hota Hai,
Magar Uske Kinare Ek Dooje Se Sarasar
Ajnabi Aur Makhtalif Raston Ko Chhute Hai,
So Aisa Hai,
Samme Ke Is Samundar Mein,
Jahan Har Shay Badalti Hai,
Wahan Hum Tum Bhi Badle Hai, Badalna Tha,
Ke Rishte Bhi Hamare Aqs Ki Surat,
Bahut Ahistagi Se Is Tarah Karwat Badalte Hai,
Basa Aukat Bistar Par Padi Chadar Pe Silwat Tak Nahi Padti,
Na Aankhon Mein Safar Karte Purane Rang Hi Tabdeel Hote Hai,
Na Baaton Ke Tasalsul Mein Koi Deewar Aati Hai,
Bas Itna Hai,
Ke Khwahish In Bandh Mutthi Se Wohi Jo Reet Si Pal Pal,
Phisalti Hai Usi Ke Beech Mein Shayad Wo Jazba Bhi Kahin Hota Hai,
Jisko Pyaar Kehte Hai,
Mohabbat Naam Hai Jiska,
Kabhi Aisa Bhi Hota Hai,
Hamein Khud Apne Hathonse Phisalti Ret Ki,
Reezish Ka Andaza Nahi Hota,
Magar Wohi Girti Rehti Hai,
Kabhi Hum Usko Phir Se Jama Karne Aur Uthane Ke Liye,
Koshish Bhi Karte Hai,
Magar Din Raat Ki Sarkish Hawayein,
Is Qadar Mitti Udati Hai Ke Kuch Bhi Ho Nahi Pata,
Ye Dil Fariyaad To Karta Hai Lekin Ro Nahi Pata,
To Wo Aansu,
Ke Jinko Is Phisalti Ret Mein Bikhri Mohabbat Ko,
Dobara Zindagi Dena Tha Aur Shadab Karna Tha,
Nahi Behte,
Wohi Aankehin Ke Jin Mein Har Ghadi Shammayein Si Jalti Thi,
Unhi Chehron Pe Hoti Hai Magar Un Mein,
Mohabbat Aur Tailooq Ki Purai Lau Nahi Hoti,
Zamana Unke Andar Se Guzar Kar Khud To Jaane Kis Taraf Jaata,
Kahan Bisraam Karta Hai,
Magar Uske Gubaar-E-Raah Mein Uljhe Raste,
Kayi Chehre Badalte Hai,
Mohabbat Karnewale Shakhs Aur Unki Mohabbat Bhi,
Badalte Waqt Ki Yalgaar Se Bachne Ki Khatir Ek,
Nayi Surat Mein Dhalte Hai,
Wafa Haare Hue Maidan Se Jo Parcham Uthati Hai,
Unhe Lashkar Nahi Milta,
Guzarte Waqt Ke Aashoob Mein Chehra Badalta Hai,
To Phir Paikar Nahi Milta,
So Jaan-E-Jaan Agar Hum Tum,
Badalte Waqt Ki Is Tez Aandhi Mein Abhi Tak Ek Hai,
Aur Ek Duje Ke Liye Bechain Rehti Hai,
To Shayad Ye Hamare Bakht Ki Khubi, Hamari Khushnasibi Hai,
Ke Hum Dono Guzarte Waqt Ki Sarkash Rawani Mein,
Bahe Bhatakte To Hai Lekin,
Hamare Sahilon Ka Ruskh Kisi Lamhe Nahi Badla,
Ye Husn-E-Ittefaq Aisa Hai Jo Kismat Se Milta Hai,
Bahut Kadwa Sahi Lekin Yehi Sab Se Bada Sach Hai,
Ke Jo Lamha Guzar Jaye,
Wo Kitna Bhi Maqdus Qeemti Ya Khubsurat Ho,
Kabhi Wapis Nahi Aata,
Mohabbat Aur Khwahish Aur Unke Darmiyan Phaili Hui,
Benaam Rishte Bhi, Inhi Chizon Mein Shamil Hai,
Jinhe Ye Waqt Ka Dariya,
Hamare Chahne Na Chahne Se Be-Niyaz-O-Bekhabar Ho Kar,
Purnai Dairy Pichhle Calendaron Ki Tarah Tabdeel Karta Hai,
Ise Ek Mojza Kahiye,
Ke Khwahish Ke Safar Mein Humne Jitne Mod Kaate,
Jsi Qadar Rehwar Badle Hai,
Wo Sab Ek Sath Badle Hai,
Na Girti Ret Badli Hai, Na Apne Hath Badle Hai,
Ise Ek Mojza Kahiye...

No comments:

Popular Posts