Monday, August 9, 2010

dil ki pehli arzoo ki shama ko bujha kar



dil ki pehli arzoo ki shama ko bujha kar
hum ne tujhe apnaya hai khud ko gunwa kar,

jin aankhoon ka noor tha jin nazroon ka maan tha
aaya hoon unhi nazroon se main khud ko gira kar,

main kar raha tha us se tere husan ki batain
chup chap sun raha tha wo nazrain jhuka kar,

khamoosh main hua to herat hoi mujhe
wo de raha tha tujh ko duaa hath utha kar,

khayega na ab wo mere naam ki kasmain
roota hua gaya hai meri kasam wo kha kar ,

mana k shaz us main buhat hosla sahi
zinda na reh shayad tera pyar gunwa kar

No comments:

Popular Posts