Monday, August 9, 2010

Tujhe Izhar-e-Muhabbat se agar nafrat hai


Tujhe Izhar-e-Muhabbat se agar nafrat hai
tu ne honton ko larznay say to roka hota

be niazi se magar kanpti awaz ke saath
tu ne ghabra ke mera naam na poocha hota

tera ghamaz bana khud tera andaz-e-kalam
dil na sambhla tha to qadmon ko sambhala hota

yun to huin mujh se sirf aab-o-hawa ki batain
apne tootay huay fikron ko to parkha hota

tere bas main thi agar mashal-e-jazbat ki lau
tere rukhsar pe gulzar na badhka hota

apne badlay meri tasveer nazar aa jati
tu ne us waqt agar aaina daikha hota

poochta kaun hai seepi main chupe moti ko
jo tere dil main tha honton pe bhi aaya hota

Popular Posts