Wednesday, January 5, 2011

ghar ghar charcha aam karo ho


ghar ghar charcha aam karo ho
muft humain badnaam karo ho

chahat ka kab ye hai matlub?
chahat ko bad'naam karo ho

baghal main khanjar ko daabe ho
munh dekhey pe "raam" karo ho

nazroo.n ki shokhi se apni
paani ko bhi jaam karo ho

us k naam ki mala jhapte
subha se mushkil shaam karo ho

mulk ki izzat ko zar'daroo
ruswa har har gaam karo ho

nafs ki lazat ki khatir tum
kiya kiya ultey kaam karo ho

No comments:

Popular Posts