Sunday, March 6, 2011

Ranhoon main bikhri dhuoool ke bhanwar main


Ek tareeq rah guzr par
kamzor c ek halki kiran ko
jana main nai anjane main
apni manzil ka nishan
ghubar-e-rah main kho kar
bujh gai jab woh temtemati kiran
mit gaya jab nishane manzil
mare maan ko yaqeen na aya kabhi
apne par biaty is sitam par
madham madham se qadam mare
kisi sang mayl ki talsah main
inhi injan tareeq ranhoon par
bhatak rahein hain aaj bhi
lakin....
yeh dil dewwana kya jane
umangoon ke chaman
tou yunh hi sada
bharoon ka intzar karty karty
ugarty hain
ugarty rahien gay
jo kho gai manzeelian
un manzeloon ki talash main
qadam hum jaise musafiroon ke
rahoon maon bhikhri
dhooul ke bhanwar main
bhatkty rahein hain
bhatkaty rahein gay

No comments:

Popular Posts