Friday, June 3, 2011

bhulata lakh hon lekin barabar yaad aatay hein


bhulata lakh hon lekin barabar yaad aatay hein
elaahi tark e ulfat par woh kiun kar yaad aatay hen

Na chherd aey hamnasheen! kaifiyat e sehba kay afsanay
sharab e bekhodi kay mujh ko saghar yaad aatay hen

Raha kartay hen qaid e hosh mein aey waay nakami
woh dasht e khud framoshi kay chakkar yaad aatay hen

Nahi aati to un ki yaad maheenon tak nahi aati
magar jab yaad aatay hen to aksar yaad aatay hen

Haqiqat khul gai HASRAT teray tark e muhabbat ki
tujhay to ab woh pehlay say bhi bardh kar yaad aatay hen

No comments:

Popular Posts