Friday, June 3, 2011

Unglian phair raha tha woh khayalon mein kahin


Unglian phair raha tha woh khayalon mein kahin
lams mehsoos hoa meray balon mein kahin

Ab mera saath nahi deta piyada dil ka
haar jaon na mein aakar teri chaalon mein kahin

Is tashakhkhus pe bhi rehta hay ye dhardka dil ko
kho na jaon mein teray chahnay walon mein kahin

Aek sooraj nay mujhay chaand ka rutba bakhsha
warna hoti mein kitabon kay hawalon mein kahin

mujh ko lagta to nahi woh mutzalzal lekin
Us ko wehshat hi na lay jaaen ghazalon mein kahin

No comments:

Popular Posts