Saturday, January 7, 2012

kiya tha zara si dair main kya ho gaya koi

kiya tha zara si dair main kya ho gaya koi
do din juda raha tu naya ho gaya koi

wo bhi mujhe aziz tha main bhi usey aziz
phir jane kiya howa k khafa ho gaya koi

meri nazar nay us ko khad-o khaal dey deye
zehra jamaal-e sheh'r-e saba ho gaya koi

mehfil main tha tu chaand ki sourat sabeh tha
tanha mila tu rung-e hina ho gaya koi

is khush ada guraiz k qurbaan jaeye
mujh ko salam kar k hawa ho gaya koi

ilzaam hum pe aya hum musta'id na they
jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koi

mujh jaise be-nawa ko nawaza ba-sad kholoos
yoon bhi bara tha aur bara ho gaya koi

No comments:

Popular Posts