Friday, August 28, 2009

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya

Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya

lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya

aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh rahe the k mein ne sab kuch bhula diya

jane kya us ke loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya

khud bhi voh hum se bichar kar adhure se ho gayee
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya...

Ajab larki hoon main khud ko ganwana chahati hoon...

Ajab larki hoon main khud ko ganwana chahati hoon...
K aapne aap se pecha churwana chahati hoon...

Na jane kya talluq hai mera ranj-o-alam se...
Koi bhi dard ho dil mien basana chahati hoon...

Kai bhoole howe chehre yaad aarahe hien...
Zara se dier ko aansu bahana chahati hoon...

Najane kyun mujhe pather samajhte hai duniya...
Main kya hoon kon hoon un ko batana chahati hoon...

Sitam jo bhi zamne ne kya hien mujhe per...
Hamesha k lye bhool jana chahati hoon...

!!..Mujhay Insaan Matt Kehna..!!

!!..Mujhay Insaan Matt Kehna..!!

Ager Kuchh naam daina ho ....
Mujhay Insaan Matt kehna .....
Judaa Chehray, Juda bay-shak sabhi ke kaam hotay hai'n ...
Magar Insaaniyat ke abb yahaa'n per daam hotay hai'n ....
Mere Tum daam matt Dena .........
Mujhay ye naam matt Daina .......
Agar kuchh naam daina ho ..
Mujhay Ehsaas keh daina ............
Magar thehro! ................
Mujhay Ehsaas Matt Kehnaa ...................
Mera Buss Naam reh jaay mujhay aisay nahi'n rehnaa ...............
Mujhay Ehsaas Matt kehnaa .................
Ager kuchh naam daina ho, Mujhay saawan he keh daina .................... .....
Magarr Thehro.............. ................!
Mujhay saawan nahi'n kehnaa ............
Barasta hai magar rut ke badaltay beet jaata hai ...........
Mujhay Saawan nahi'n kehna ................
Ager kuchh naam daina ho, mujhay aansoo he keh daina ..........
Janam laina kisi ki aankh mai'n, rukhsaar per marna .............
yahi jis ki haqeeqat hai .................
Chalo aansoo he keh daina ................
Magar daikho .................... .................
Kisi ki aankh mai'n Mujh ko kabhi aanay nahi'n daina ...............
Ke qeematt aansoo'on ki abb adaa tum se nahi'n ho gee .................
Nahi'n tum yu'n nahi'n kehna .................... .........
Mujhay Aansoo nahi'n kehnaa ...........
Mujhay aankho'n mai'n bastaa ik hasee'n sapnaa he keh daina ............
Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n .................... ....
Magar Thehro............! .
Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa...........
Ke sapnay toot jaatay hai'n ..............
Mujhay Apnaa Nahi'n Kehna .................... .
Ke apnay rooth jaatay hai'n .................... ...!!!!!!!!!!!!

Muhabat jab lahhu ban ker

Muhabat jab lahhu ban ker
Ragoon main sarsray tu.
Koi bhoola howa chehra
Achnak yaad aye tu.
Kadam mushkil say uthtay hoon
Irada dagmagay tu
Koi madham say lehggay main
Tumhain wappis bulay tu
Therr jana..
Samajh jana.
Ke abb wapiss platnay ka ammal aghaz hota hai
Kabhi tanhaioon ka dard
Ankhoon main smay tu
Koi lamha guzshata chahatoon ka
Tab satay tu
Kabhi yeh pagal dil kissi ki
Yaad main rulay tu.
Agar tum say tumhara dil
Kisi tor rooth jay tu
Kabhi unhoonion ka dard
Prindoon ku uray tu
Hawa jab perh say aik zard sa
Ptta gray tu..
Therr jana..
Samajh jana.
Ke abb wapiss platnay ka ammal aghaz hota hai...

Raat phir udaas hai,

Raat phir udaas hai,
Ajnabi si raaho.n mein,
Door tak nigaaho.n mein,
Be-rukhi ka mosam hai,
Aaj phir nigaaho.n ko,
Beetay pal ki pyaas hai,
Phir raha hoon dar-badar,
moujzay ki aas hai,
Aisa lagta hai jaisay,
Raat phir udaas hai,
Baat to karay koi,
Saath to chalay koi,
Khaamoshi ka pehra hai,
Zakham dil ka gehra hai,
Aisa llagta hai jaise,
Raat phir udaas hai.

Woh aksar mujh se kehta tha!

Woh aksar mujh se kehta tha!
Ye dil aik kaanch ka tukra hai,
Is kdil ko dard bhi hota hai,
Ye sheesha toot bhi jata hai,
Or ye tum bhi jaante ho,
Jab sheesha kirchi ho jae,
To jorna kitna mushkil hai,
Par waqt ke beetay dharay ne,
Uski socho.n ko morr diya,
Woh jo dil ko sheesha kehta tha,
Usne dil MERA hi torr diya...!!!

Meri aankhoon main tum machaltay ho

Meri aankhoon main tum machaltay ho
Dil ki dharkanoon main dharkatay ho
Meri shab kay khaboon ki dunyaan
Teri dunyaan
Meri sansoon ki garmi
Teri chahat ka phal
Meray sochoon ka markaz
Teri umbrein zulfain
Mohabat kay reshtay ki door
Teray hath hai
Na meray hath hai
Sawal ki dewar kay os par
Kiya hai,
Dar ka azdaha
Aagay bhernay nahain dayta
Pechay hatnay nahain dayta

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho

Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kisi Ki Aati Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana..
Aur Chupke Chupke Ro Lena...

Jab Ankhein Bheeg Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena..
Aur Chupke Chupke Ro lena...

Jab Palkein Karab Se Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Soti Ho
Tab Moo Par Takeya Rakh Lena..
Aur Chupke chupke Ro Lena...

Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelaygi
Tum Sab Ke Saamne Chup Rehna..
Aur Chupke chupke Ro Lena...

Jab Barish Chehra Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona..
Aur Chupke Chupke Ro Lena...

Jab sar-e-sham us ny zulfon ko sanwara ho ga,

Jab sar-e-sham us ny zulfon ko sanwara ho ga,

Hath main kangan Ankh main kajal Awara ho ga,

Us k joray main saja wo sufaid gulaab,

Raat ko sotey main kisi ny to utara ho ga,

Aalm-e-tanhai main shab bhar karwten lay kar,

Koi to ho ga jisay us ny pukara ho ga,

Haay! Wo neend main dubi hoi makhmor Ankhain,

Jis ny dekha wo dil wahen py haara ho ga

us k betab larazty huway honton py

Hamen yaqeen hai machalta huwa wo naam humara ho ga.

Aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do

Aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do;
Tarapte dil ke dard ki yunh dawa na do;

Duniya ke ghum soonp ker mujhe;
Ab khush rehney ki dua na do;

Dikhla ker mekhaney ka rastaa phir;
Ab-e-zam zam ki sada na do;

Kaantey bhar ker merey daaman mein;
Mujhe pholoon ki si adaa na do;

Mila ker zeher merey ja’am mein;
Mujhe be-wajah maut ki wajah na do;

Gunaah jo sarzad hua hee mujh se;
Pal pal be gunaahi ki saza na do;

Badnaam ker ke uss ki galiyoon mein ab;
Uss ke aashyaaney ka tumhee pata na do;

Mohabbat kertey hein, dikhana nahi jaantey;
Ilzaam magroori ka de ker ye sila na do;

Jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se;
Pal bhar ki khalish se isey bujha na do;

Mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon;
Mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do;

Zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool;
Nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do;

Cheen ker mujh se zindagi meri;
Mujhe aur jeeney ki bad’dua na do

Shabnam K Aansoo Phool,Per Ye To Wohi Qissa Hoa

Shabnam K Aansoo Phool,Per Ye To Wohi Qissa Hoa
Aankhain Meri Bheegi hoi,Chehra Tera Utra Hoa

Ab In Dino Meri Ghazal Khushbu ki I Tasveer Hai
Her Lafz Gunche Ki Tarah Khil Ker Tera Chehra Hoa

Shayad Use Bhi Le Gaye,Ache Dino k Qaafle
Is Baagh Me I Phool Tha,Teri Tarah Hansta Hoa

Her Cheez Hai Bazaar me,is Hath De Us Hath Le
Izzat gai,Shohrat Mili,Ruswa Howe,Churcha Hoa

Mandir Gaye,Masjid Gaye,Peerooon Faqeeroon se Mile
I Usko Paane K Liye,Kya Kya kiya,Kya kya hoa.......!

Anmol Moti Pyaar k Dunya Churaa k Le Gai
Dil Ki Haveli Ka Koi Darwaza Tha Toota Hoa

Barsaaat me Deewar-o-Der ki Saari Tehreerain Miti'in
Dhoya Buhat Mit'ta Nahi Taqdeer ka Likha Hoa

UjjrReY howEy LogoOn Se GuRezaAn NaA howaA KaR

UjjrReY howEy LogoOn Se GuRezaAn NaA howaA KaR
HaAlaAt Kii QabbRoOn k yE KatbEy B ParrhaA KaR

KiA JanYe..! Kiun TaizZ HaWaA SoOch MaIn GumM Haii…?
KhaWaABeEdaA PaRiindoOn KoO DarakHtoOn Se URRaA KaR

UsS ShakS k TuM Sse MaRaAsiM Hai, ToO hoOn gEy……..
WoO JhoOtt NaA BoLEy GaA mErE SaAmnEy aAA KaR

Ab DasTakaIn dE gaA toO KahAn Ay GhaM-E-AhbaAb……..!
MaIneY toO KaHa Tha K mErE DiL MaI RaHaA KaR

HAr WaQtt Ka HanSnaA TUjHeY BarBaAd NaA Kar DeY
TanHai K LamHoOn Mai Kabhii RoO B LiYaA KaR

WoO Ajj B SaDyoOn Ki MuSaAFaT Par KhaRRaA Hai
DhoOnDaA Tha JiSeY WaQT Ki DiWaAr GiRaA KaR

BaRhAm NaA Ho KaM Fehm-i-KoOtaAH NazZRaAn Par…..!
Ayy QasSiit-E-FaN, Apni BuLanDii KaA GilaA KaR

Ayy DiL TujjHeY DuShmAnoOn Ki B PeHcHaAn KahAn Hai…?
ToO HaLQA-E-YaAraAn Mai B MohTaT RahA KaR

Mai MAR B ChUkaA, MiL B ChuKaA MoOjj-E-HaWaA Mai
Ab Raitt K SeEneY Pe meRa NaAm LikHaA KaR

PeHLaA SaA KahAn Ab MeRii RaFTaAr Ka aALAm…!
Ayy GarDiiSh-E-DoRaAn zZaRaA THAM THAM k ChaLaA KaR

iS RuT Mai KahAn PhoOL KHiiLaiN geY DiL-E-NaAdaAn…?
ZaKhmoOn koO Hii WaBasSTa-E-zZanjjeeR-E-SabaA KaR

iK RoOhh Kii FaRyaAd nEy ChonKaA DiaA Mujh koO
ToO Ab To MujjHey JiiSM K zZiiNdaAn Sey ReHaA KaR

IsS ShAbb K MuQaDDaR Mai SaHaR Hii NaHii faysal
DaiKhaA Hai Kaii BaAr CHARaAGhoON KoO BhujjaA KaR


====================

Mohabbat Rog Hay Jaana

Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana
Baray Borhay Btatay Thy
Kayi Qissay Sunatay Thy
Magar Hum Mantay Kab Thy
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy
Yeh Baatein Zikr k Qabil
Bhala Gardantay Kab Thy
*-*-*-*-*-
Ana k Takht Par Baithy
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana k Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon k Jhurmat Mein
Tery Pairoon Ki Payel Mein
Tery Chotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chaand Sooraj
Walehana Raqs Kartay Hain
*-*-*-*-*-
Humein Maloom Hi Kab Tha
Tery Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Tery Hontoon Ki Jumbish Par
Tery Sir k Isharay Par
Sada-e-DilBrana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Mehrmana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman k Phool Saray
Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain
Zara Se Wasl k Jhansey Mein
Apni Jaan Detay Hain
*-*-*-*-*-
Humein Kab ILM Tha Jaana
Tery Pekar Se Dhul kar
Chandani Har Soo Bikharti Hay
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi
Kaisy Nikharti Hay
Teri Payel Ki Chan Chan
Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay
Teri Awaz Veerany Mein
Kya Jadu Jagati Hay
Tery Naghmay Fiza Mein
KisTarah Jal Tarang Bajaty Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jatay Hain
*-*-*-*-*-
Humein Idraak Hi Kab Tha
Humein Kamil Bharosa Tha
Hamary Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Nahi Ho Ga
Dil-e-Nadaan Kabhi
Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho Ga

Magar....
*-*-*-*-*-
Magar Phir Yun Huwa Jaana
Na Janay Kiun Huwa Jaana
Bara Afsoon Huwa Jaana
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana
*-*-*-*-*-
Tery Abroo Ki Ik Jumbish
Se Ghayel Ho Gaye Hum b
Baray Be Multafit Phirtay Thy
Maayel Ho Gaye Hum b
Sakhawat Karnay Aye Thy
Aur Saayel Ho Gaye Hum b
Baray Borhoon Ki In Baaton k
Qaayel Ho Gaye Hum b

K .....
*-*-*-*-*-
Mohabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana...!!!
*.*.*.*.*.*.*.*.*.*. *.*.*

Dil Ko Tere Sukun De Wo Ghazal Kahan Se Laun

Dil Ko Tere Sukun De Wo Ghazal Kahan Se Laun
Bhul Ke Ghazal Apni Tere Ghazal Kaise Sajaun

Dil Mein Utar Jayein Woh Lafz Kahan Se Laun
Bhul Ke Kuch Yaadein Tere Yaad Kaise Dil Mein Basaun

Dil Tera Chura Le Woh Geet Kahan Se Laun
Chuu Le Jo Suron Ki Taal Woh Dhun Kaise Banaun

Dil Ka Dard Chura Le Woh Tasveer Kahan Se Laun
Kayi Tufanon Ko Ek Tasveer Mein Kaise Samaun

Tufanon Se Tumhe Bacha Le Woh Naav Kahan Se Laun
Behte Dariya Ke Rukh Ko Rok Kaise Tumhey Bulaun

Dilon Ko Jod De Woh Taar Kahan Se Laun
Tute Rishton Ke Dhagon Ko Kaise Sulghaun

Dil Ko Tere Sukun De Woh Ghazal Kahan Se Laun
Dard Apna Chupa Kaise Tere Dard Ko Apna Banaun

Dil Ko Tere Sukun De Woh Ghazal Kahan Se Laun
Bhul Ke Ghazal Apni Tere Ghazal Kaise Sajaun..

Thursday, August 27, 2009

Jis Simat Bhi Dekhoon Nazer Atta Hai Kay Tum Ho

Jis Simat Bhi Dekhoon Nazer Atta Hai Kay Tum Ho
Aai Jan-e-Jahaan Yeh Koi Tum Sa Hai Kay Tum Ho

Yeh Khawaab Hai, Khushboo Hai Kay Jhonka Hai Kay pal Hai
Yeh Dhund Hai Badal Hai Kay Saya Hai Kay Tum Ho

Is Deed Ki Saait Hai Kaye Rang Hain Lerzaa'n
Mai Hon Kay Koi Orr Hai Dunyaa Hai Kay Tum Ho

Dekho Yeh Kisi Orr Ki Ankhain Hain Kay Meri
Dekho Yeh Kisi Orr Ka Chehra Hai Kay Tum Ho

Yeh Umer-e-Guraizaa'n Kaheen Thairay Tu Yeh Janoo'n
Her Ik Saans Mai Mujh Ko Yehi Lagta Hai Kay Tum Ho

Ik Dard Ka Phaila Howa Sehra Hai Kay Mai Hoon
Ik Mouj Mai Ayaa Howa Daryaa Hai Kay Tum Ho

Wo Waqat Naa Aai Kay Dil-e-Zaar Bhi Sochay
Is Sheher Mai Tanhaa Koi Hum Sa Hai Kay Tum Ho

Abaad Hum Aashufta Sirroo'n Se Nahi Maqtil
Yeh Rasum Bhi Is Sheher Mai Zindda Hai Kay Tum Ho

Aai Jan-e-Faraz Itni Bhi Toufeeq Kisay Thi
Hum Ko Gham-e-Hasti Bhi Gawaara Hai Kay Tum Ho

Wednesday, August 26, 2009

jawaani ke heele, hayaa ke bahaane,

jawaani ke heele, hayaa ke bahaane,
yeh maana ke tum mujhse purdah karogi

yeh duniya magar tujhsi bholi nahiN haiN,
chupakar muhobath ko roosva karogi



badi koshisoN se, badi kaavishoN se,
tammanna ke sehmi hui saazishoN se

milega jo mauka, tho bechain hokar,
dareechoN se tum mujhko dekha karogi



sathaayegi jab chandni ki udhasi,
dukhaayegi dil pe hiza ki khamoshi

ufaq ki taraf khaali nazreN jamakar,
kabhi jo na socha wo socha karogi


kabhi dil ki dhadkan mehsoos hogi,
kabhi tandi saansoN ki toofan utheNge

kabhi ghir ke bistar pe aaheN bharogi,
kabhi jukhke thakiye pe roya karogi

kuchh ajab shaan se logo'n mai rahaa karate thai

kuchh ajab shaan se logo'n mai rahaa karate thai
ham Khafaa rah ke bhii aapas mai milaa karate thai

itnii tahaziib rah-o-rasm to baaqii thii ki wo
laakh ranjish sahii vaadaa to vafaa karate thai

us ne puchha tha ka_ii baar magar kyaa kahiye
ham mizaajan hii pareshaan rahaa karate thai

Khatm thaa ham pe mohabbat ka tamaasha goya
ruuh aur jism ko har roz judaa karate thai

zindagii ham se tere naaz uThaaye na gaye
saaNs lene kii faqat rasm adaa karate thai

ham baras parhte thai 'faysal' apanii hii tanhaa_ii par
abr kii tarrha kisii dar se uThaa karate thai

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye

humara DIL saweeray ka sunehra jaam ho jaye
chiraghon ki tarah ankhein jalein aur shaam ho jaye

kabhie tow asmaan se chand utray jaam ho jaye
tumharay naam ki ek khoobsurat shaam ho jaye

ajab halaat thay yun dil ka soda ho geya akhir
mohabbat ki haveeli jis tarah nelaam ho jaye

sumandar k safar mein iss tarah awaz de hum ko
hawayen teez hon aur kashtiyun mein shaam ho jaye

mujhay maloom hai usska thikana phir kahan ho ga
parinda asmaan choonay mein jab nakaam ho jaye

ujalay apni yaadon k humaray sath rehnay do
najanay kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka

Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udaasi Ka
Aur Abb Bhi Hai Mairey Shaaney Pey Sar Udaasi Ka

Woh Kon Keemiyaa-gar Tha Ke Jo Bikheir Gaya
Terey Gulaab Say Chehrey Pey Zar Udaasi Ka

Merey Wajood Ke Khalvat-kadey Mein Koi To Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udaasi Ka

Main Tujh Say Kaisey Kahoon Yaar-e-Meherbaan Mairey
Ke Tu Hi Ilaj ha Mairi Har Udaasi Ka

Ye Abb Jo Aag Ka Darya Mairey Wajood Mein Hai
Yehi To Pehley Pehal Tha Sharaar Udaasi Ka

Na Janey Aaj Kahan Kho Gaya Sitaar-e-shaam
Woh Maira Dost, Maira Humsafar Udaasi Ka

'Faraz' Deeda-e-Pur-aab Mein Na Dhoondh Ussey
Ke Dil Ki Teh Mein Kahin Hai Gohar Udaasi Ka !

Dil ki Awaz se awaz mila di hmne,

Dil ki Awaz se awaz mila di hmne,
Dastaan gham ki zamane ko suna di hamne

Yak-b-yk chaunk uthe nend se sone wale,
Jab zara paon ki zanjeer hila di hmne

Ek teri pehli nazar rooh me paivst rahi,
Par hr bat zamane ki bhula di hmne

Jaam ne jb b kbi hmse izajt chahi,
Har taraf piyas ki dewar utha di hmne

Hum the gumrah, hame apni tou manzil na mili,
Raah auron ne jo pochi tou bta di hmne

Ab jawani jo gai beet tou yeh ahsas hua,
Ajnabi sehr me ek raat bita di hmne

Aye gam-e-yaar kahen aur thikana krle,
Dil ki basti me tou Aag laga di hmne.

Hum to saya tera ban jayen agar tu chahe,

Hum to saya tera ban jayen agar tu chahe,
Ya kabhi bhi na nazar aayen agar tu chahe,

Tu jo chahe to sar-e-aam karen ehd-e-wafa,
Yun hi duniya se guzar jayen agar tu chahe,

Tujhse milne main to jaanaan teri ruswai hai,
Hum teri yaad se mil aayen agar tu chahe,

Tu jo kehde to pukaaren sar-e-bazar tujhey,
Ajnabi ban k guzar jayen agar tu chahe,

Zindaqi krlen agar teri ijazat mil jaye,
Teri chaukhat pe hi mar jayen agar tu chahe.

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi

Meri Zindagi to Firaaq hai, Wo Azal se Dil k Makeen Sahi
Wo Nigah-e-Shoq se Door hai, Rag-e-Jaan se laakh Qareeb Sahi



Hamain Jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo Kahin Sahi
Hamain Aap khinchey Daar per. Jo nahi koi to Hum hi Sahi



Sar-e-Toor ho, Sar-e-Hashar ho, Hamain Intizaar Qabool hai
Wo Kabhi miley, wo kahin miley, wo kabhi Sahi, wo kahin Sahi



Na ho Un per jo Mera Bus na sahi, keh yeh Aashqi hai Hawas nahi
Main Unhi ka tha, Main Unhi ka hoon, wo Mere nahi to na Sahi



Jo ho Faisla woh sunaaiye, usey Hashar per na Uthaaiye
Jo karain ge Aap Sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin Sahi



Usey dekhne ki jo Loo lagi, to 'faysal' dekh hi lain ge Hum
Wo Hazaar Aankh se Door ho, wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi!!!!!!

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay...

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay...
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay...

Woh ker nahee'n raha tha mairi baat ka yaqee'n...
Phir yoo'n hua k mar k dikhhana parra mujhay...

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha...
Che'hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay...

Us ajnabi say haath milaanay k waastay...
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay...

Yaadai'n thee'n dafan aisi k bad-az-farokht bhi...
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay...

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar...
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay...

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha faysal...
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay...!!

SOOCHA NAHI ACHA BURAA, DEKHA SUNAA KUCH BHE NAHI

Soocha nahi acha buraa, dekha sunaa kuch bhe nahi
Manga Khuda say raat din taray sewa kuch bhe nahi

Soocha tujhay,dekha tujhay,chaha tujhay,pooja tujhay
Maree khata maree wafa taree khata kuch bhe nahi

Jiss par humaree ankh nay mooti bichaiy raat bher
Bhaja wohi kaghaz isey ,hum nay likha kuch bhe nahi

Ek shaam ki dhleez par bathay rahy woh dair tak
Ankhoon see keen batain bohat,moon say kha kuch bhi nahi

Dou shaar din ki baat hay dil khak main soo jaey ga
Jub aag par kaghaz rekha,baqii bucha kuch bhi nahi

kuch din se zindagi mujhe pehchanti nahi

kuch din se zindagi mujhe pehchanti nahi
yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahi

wo bewafa jo raah me takra gaya kahin
kah doongi main bhi saaf ki pahchanti nahi

samjhaya baraha ki bacho pyar veyar se
lekin koi saheli kaha manti nahi

maine tujhe moaaf kiya ja kahin bhi jaa
main buzdilon pe apni kaman tanti nahi

anjum pe hans raha hai to hansta rahe jahan
main bewaqufiyon ka bura manti nahi...

Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi

Kare woh pyaar shubha shaam zaruri to nahi
Har chahaat ka ho sahi Anjaam Zaruri to nahi

Pyaar to pyaar hai chahe chhup-chhup he kare,
Log Charche kare Saare-aam zaruri to nahi,

Chal padte hai kadam jis taraf teri yaad mile
Har safar ka ho koi Makaam zaruri to nahi

Bagiyaa lagti hai khubsurat, haseen phoolon se
Khooshboo bikhere woh Tamaam zaruri to nahi

Bahek ne ke liye tera ek khayal kafi hai sanam
Hatho.n mai ho phir se koi Jaam zaruri to nahi

Nibhayegi saari rasm-e mohobbat
Mere Naam se jude teraa Naam zururi to nahi

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate' HaiN

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaate' HaiN
YuuN Mohabat MaiN Ye Din Raat Badal Jaate' HaiN

Pyaar To unko Bhi Ham Se hai Magar Jaane' KyuN
Ham KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaate' HaiN

Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN
Laf'z Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaate' HaiN

Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle' Mohabbat Se HamaiN
Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaate' HaiN

Aik Sa Waq't Mohabbat maiN KahaaN Rehta Hai
Gardish-e-Waq't Se Haalaat Badal Jaate' HaiN

Tum jo nazrein jhukaey bethay ho

Tum jo nazrein jhukaey bethay ho
Kis key dil mein samaey bethay ho

Koi chahta hey tum ko utna hi
Jitna tum muskuraey bethay ho

Kis kadar husn hey nigahon mein
jo ye kaajal lagaey bethay ho

Koi toofa'n sa guma'n hota hey
Zulfein aisey bikhraey bethay ho

Dil ki dharkan sunai deti hey
Raah mein dil bichaaey bethay ho

Yun hi kehdo ke pyaar kartey ho
Kyun ye aansoo bahaaey bethay ho

kyun na karta, Mohabbat Saqib
Dil jo uska churaey bethay ho


Tere Mere Beech Zamana Parta Hai

Tere Mere Beech Zamana Parta Hai
Dil ko Kitni Baar Batana Perta Hai

Thehar Gayi Hai Baat Muqadder Per Aa Ker
Khud Ko Yeh Aksar Samjhana Parta hai

Sochon ko Kab Qaid Koi ker Paya hai
Lekin Khud ko Tu Samjhana Parta hai

Rasta ho Dushwaar Ya Raahi Anjaane
iss Jeevan ka Saath Nibhana Parta hai

Khamoshi ke Dassne ka Darr Ho Jis Dam
Ayse Mein Khud Shor Machaana Parta hai

paas mere tou sirf tumhari yaaden hain
Yaadon Se Dil ko Behlaana Parta hai

Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta,

Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta,
Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta

Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka,
Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta

Har Eik Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee,
Per Raah Main Padray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta

Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hunstay Rahoo Gay,
Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta

Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay,
Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta

Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina,
Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta

Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker,
Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta

Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhta Hoon,
Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta..........

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
mujhe ek raat nawaaz de, magar uske baad sehar na ho

wo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ataa kare
tujhe bhoolne ki dua karun, to dua mein meri asar na ho

mere baazuon mein thaki thaki ,abhi mahv-e-khwaab hai chaandni
na uthe sitaaron ki paalki, abhi aahaton ka guzar na ho

ye ghazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chaandni
na bujhe kharaabon ki roshni, kabhi bechiraag ye ghar na ho

wo firaaq ho ya visaal ho, teri yaad mehkegi ek din
wo gulaab ban ke khilega kya, jo chiraag ban ke jala na ho

kabhi dhoop de, kabhi badliyaan,dil-o-jaan se dono qubool hain
magar us nagar mein na qaid kar,jahaan zindagi ki hawa na ho

mere paas mere habeeb aa zara aur dil ke qareeb aa
tujhe dhadkano mein basa loon main,ke bichhadne ka kabhi darr na ho..........

Tuesday, August 25, 2009

Kis qadar zulm dhaya kertey ho

Kis qadar zulm dhaya kertey ho
Yeh jo tum bhool jaya kerte ho

Kis ka ab haath rakh ke seene per
Dil ki dhadhkan sunaya kerte ho

Hum jahan chaye peene jate thay
Kia wahan ab bhi aaya kerte ho

Kon hai ab ke jis ke chehre per
Apni palkon ka saaya kerte ho

Kiun mere dil mai rakh nahee dete
Kis liye gham uthaya kerte ho

Phone per geet jo sunate thay
Ab wo kis ko sunaya kerte ho

Akhiri khat mai usney likha tha
Tum mujhe yaad aaya kerte ho

mujh pe gar lutf-o-karam unka zara ho jayega

mujh pe gar lutf-o-karam unka zara ho jayega
ghair kya har dost bhi mujh se khafa ho jayega

tum nahin aye agar to aur kya ho jayega
ek mareez-e-ishq bas nazr-e-qaza ho jayega

usko bhi lagne lagi hai is zamane ki hawa
mujhko andesha hai woh bhi be-wafa ho jayega

jab nigahen kah rahi hain pyar ki ek dastaan
"tum zaban se apni kah do ge to kya ho jayega"

ab khuda ke waste mat haal mera poochhna
mundamil zakhm-e-jigar phir se hara ho jayega

kaun phir usko bacha sakta hai lutne se "faysal"
raahzan hi jab ameer - e -qafla ho jayega

keya pata tumko ke lub khulnay say keya hoja-e-ga

keya pata tumko ke lub khulnay say keya hoja-e-ga
dil pa jo guzri hai abtak wo gila hoja-e-ga.

teray paikar ki sabahat jab bani unwan-e-fikr
keya pata tha ye kheyal ek aaina hoja-e-ga.

phir wohi shab ki khamoshi phir wo yadon ka hajoom
aisa lagta hai ke dil phir ek diya hoja-e-ga.

jisnay aadab-e-jonu seekha hai wo ye jaanlay
ishq to phir ishq hai zanjeer-e-pa hoja-e-ga.

unki aankhon me hain posheeda bahut say mojezay
aik jumbish me najaanay keya say keya hoja-e-ga.

karwatain kuch istarah badleen zamin-e-pak nay
keya khaber thi pal me ek mahshar bapa hoja-e-ga.

wo nishani-e-manzil-e-taaza abhi baqi to hai
teray waqton ki yahi aawaz-e-pa hoja-e-ga.

hum qafas hi me manatay hain agar jashn-e-bahar
phool kay khilnay ka mosam be-maza hoja-e-ga.

anjuman dar anjuman gunjay gi teri sha-e-ri
aiy faysal too mohabbat ki sadaa hoja-e-ga.

jiska dil waabasta-e- sabr-o-raza hojayega

jiska dil waabasta-e- sabr-o-raza hojayega
baynayaz-e-gardish-e- subh-o- masa hojayega

ik uchat-ti si nazar bas ek tabassum ki kiran
aapka kia jaaeyga mera bhala hojayega

phool sa chehra yah mast aankhain yah paikar yah shabab
ek main kia jo bhi dekhayga fida hojayega

shiddat-e-jazbaat zarray ko banaday aaftaab
ishq hojaaye to path-thar bhi khuda hojayega

kooy-e-qaatil main anal-aashiq ka naera-zun ho main
jaan to jaayegi wafa ka huq adaa hojaayega

dil main kia hai sirf aankho ki gawahi chahiyah
aap k kahnay meray sunnnay say kia hojayega

aatay aatay aayega tumsay bicharnay par qaraar
hotay hotay dil mera ghum aashna hojaayega

dast-e-qudrat nai tarashay hain tumharay khad-o-khaal
jiskai hojaogay tum oska khuda hojaayega

sainkron dil hain hadaff bannay ko kabsay muntazirr
aapka teer-e-nazar kaisay khata hojaayega

baiwafaai par mubarakbaad daini hai tumhain
jab kabhi mera tumhara saamna hojaayega

yonhi hanss hanss kar muhabbat say agar dekha kiyah
ik sukhan kia saara aalam aapka hojaayega

Rog aisey bhi gham-e-yaar se lag jatey hain

Rog aisey bhi gham-e-yaar se lag jatey hain
Darr se uthtey hain to deewar se lag jatey hain

Ishq aaghaz me halki si khalish rakhta hey
Baad me sainkhron azaab se lag jatey hain

Pehley pehal hawas ik aadh dukaan kholti hey
Phir to bazaar k bazaar lag jatey hain

Be-basi bhi kabhi furqat ka sabab banti hey
Ro na pain to galey yaar sey lag jatey hain

Daagh daman k hon,dil k ya chehrey k Faraaz
Kuch nishan umer ki raftaar se kag jatey hain

Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,

Ashk Girtay hain to her Saans PIGHAL Jati hay,

De k Ek Dard Naya her Shaam DHAL Jati hay,

Tujh ko Seenay say Laga ker Milay Jannat ka Sakoon,

Tujh say Bichrron to Meri Jaan NIKAL Jati hay,

Ishq Kuch Aisay Mitata hay NISHAN-E-HASTI,

Jaise k Raat Ujaalay ko NIGAL Jati hay,

Tu Agar Dil pay Meray Hath hi Rakh De to,

Toot'ti Saans Bhi Kuch Dair SANBHAL Jati hay,

Zakhm Bharta hi Nahi Teri JUDAAI ka Magr,

Phir Teri YAAD Naya Dard UGAL Jati hy..

Harf harf satar satar baab baab likh diya

Harf harf satar satar baab baab likh diya
Uss ke naam zindagii kaa intesaab likh diya

Puchhta thaa mujh se wo husool-e-zindagii hai kyaa
Ashk aankh se girey zamiin pe khawaab likh diya

Uss kii jab misaal dii saamne kii baat kii
Chaand likh diya kabhii, kabhii gulaab likh diya

Jiss qadar wo hai , usse bayaan kiya ussii qadar
Kab huaa ke main uss ko laajawaab likh diya

Goshwara-e-gham-e-hayaat likh rahaa thaa jab
Dil pe haath rakh ke main ba-hisaab likh diya

Hijraton ke baad bhii hai hijraton kaa silsila
Kis ne mere bakht main ye inqelaab likh diya

Yuun karam kiyaa hai mujh pe Rab-e-kaainaat ne
Sochne se qabil mujh ko kaamiyaab likh diya

Aaa bhi jaao ki zindagi kam hai,

Aaa bhi jaao ki zindagi kam hai,
Tum nahin ho to har khushi kam hai ! 
Vaada kar kay yeh kaun aaaya nahin,
Shaher mein aaj roshni kam hai ! 
aanay kya ho gaya hai mausam ko,
Dhoop zyada hai chandni kam hai ! 
Aaina dekh kar khayaal aaaya,
Aaj kal unki dosti kam hai ! 
Teray dam say hi main mukamal hoon,
Bin teray teri yamini kam hai !
  

hijr ki pehli shaam ke saye duur ufaq tak chaye thay

hijr ki pehli shaam ke saye duur ufaq tak chaye thay
ham jab us ke shahar se nikale sab raste sanvalaye thay

jane vo kya soch raha tha apane dil mein sari raat
pyar ki baten karate karate us ke nain bhar aaye thay

mere andar chali thi aandhi Thik usi din patajhar ki
jis din apane jhuray men usane kuchh phuul sajaye thay

us ne kitane pyar se apna kufr diya nazarane mein
ham apne imaan ka sauda jis se karane aaye thay

kaise jati mere badan se bite lamhon ki Khushboo
Khuwabon ki us basti men kuch phool mere ham-saye thay

kaisa pyara manzar tha jab dekh ke apane sathi ko
pairr pe baiThi ik chiriya ne apne per phailaye thay

ruKhsat ke din bhigi ankhon us ka vo kahna hai_e jan
tum ko lauT hi jana tha to is nagari kyun aye thay 

kahaniyan bhi gain qissa khwaniyan bhi gain

kahaniyan bhi gain qissa khwaniyan bhi gain

wafa k bab ki sab bezubaniyan bhi gain


wo beziyabi-e-gham ki sabil bhi na rahi

luta yun dil k sabhi be-sabtiyan bhi gain


hawa chali to hare patte sukh kar tute

wo subah ai to hairannumaiyan bhi gain


we mera chehra mujhe aine main apna lage

usi talab main badan ki nishaniyan bhi gain


palat palat ke tumhen dekha par mile bhi nahin

wo ahad-e-zabt bhi tuta shitabiyan bhi gain


mujhe to ankh jhapakana bhi tha garan lekin

dil-o-nazar ki tasawwurshi'ariyan bhi gain

zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi

zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi

uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi

waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi

ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi

meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi

ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi

main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi

chor di kis liye tu ne "faysal" duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi

DOOR REH KAR NA USEY PASS BULANY SAY KIEYA

DOOR REH KAR NA USEY PASS BULANY SAY KIEYA



DOOR REH KAR NA USEY PASS BULANY SAY KIEYA
main nay andaza mohabbat ka bahany say kieya

Uskay apny hi khyaalat thay pareshan bohat
Jisnay aghaz mujhay khuwaab dekhany say kieya

kuch tasalee mujhay undaze-e-taghuful sey hoe
kuch yaqeen main nay mazeed uskay na anay sey kieya

Shirkat-e-kar ka ek faisla hum donon nay kieya
Durmeyan main koi dewaar uthany say kieya

Kaam karna tha ju hum nay khabi khamoshi say
isqader woh bhi yehan shoor machany say kieya

Akass is shokh baher tak usey chornay aiey
guzer uska ju khabi aiena khanay say kieya

kaar-e-duneya main bbhula bhi na saky hum tujh ko
akhir itna bhi tary yad delanay pay kieya

Shaire thi yeh kise aur zamany kay leye
main nay murboot isay apnay zamany say kieya

Friday, August 21, 2009

sochataa huu.N ki muhabbat hai suruur-e-mastii

sochataa huu.N ki muhabbat hai suruur-e-mastii
isakii tanviir me.n raushan hai fazaa-e-hastii

sochataa huu.N ki muhabbat hai bashar kii fitarat
isakaa miT jaanaa, miTaa denaa bahut mushkil hai
sochataa huu.N ki muhabbat se hai taabi.ndaa hayaat
aap ye shamaa bujhaa denaa bahut mushkil hai

sochataa huu.N ki muhabbat pe ka.Dii sharte.n hai.n
ik tamaddun me.n masarrat pe ba.Dii shart.en hai.n

sochataa huu.N ki muhabbat hai ik afasurdaa sii laash
chaadar-e-izzat-o-naamuus me.n kafanaa_ii hu_ii
daur-e-sarmaayaa kii rau.ndii hu_ii rusavaa hastii
daragah-e-mazahab-o-iKhlaaq se Thukaraa_ii hu_ii

sochataa huu.N ki bashar aur muhabbat kaa junuu.N
aisii bosiidaa tamaddun se hai ik kaar-e-zabuu.N

sochataa huu.N ki muhabbat na bachegii zi.ndaa
pesh-az-vaqt kii sa.D jaaye ye galatii hu_ii laash
yahii behatar hai ki begaanaa-e-ulfat hokar
apane siine me.n karuu.N jazb-e-nafarat kii talaash

Lo Pehn Lee Paon Main Zanjeer Ab

Lo Pehn Lee Paon Main Zanjeer Ab
Aur Kea Dikhlaye Gee Taqdeer Ab

Khud He Chal Kar Aa Gia Zindaan Tak
Kea Karo Gay Khawb Ki Tabeer Ab

Ae Maseeha! Jo Tri Baaton Main Thee
Dil Tlak Pohnchi Hay Wo Taseer Ab

Haye Ik Aahat Nay Phir Chonka Dea
Bolnay Wali Thee Wo Tasveer Ab

Seedha Meray Dil He Par Aa Kar Lgay
Aakhri Tarkash Main Hay Jo Teer Ab

Aur Kuchh Panay Ki Hasrat He Nahen
Mil Gaye Hay Pyar Ki Jageer Ab

kuchh to ay yaar ilaj_e_gham_e_tanhai ho

kuchh to ay yaar ilaj_e_gham_e_tanhai ho
baat itni bhi na bardh jaye k ruswai ho

doobnay walay to ankhon say bhi kab niklay hain
doobnay k leay lazim nahen gehrai ho

jis nay bhi mujh ko tmasha sa bna rkha hay
ab zaruri hai wohi shakhs tmashai ho

main tujhay jeet bhi tohfay main nahen day sakta
chahta ye bhi nahen hoon tri paspai ho

aaj to bazm main har ankh thi purnam jaisay
dastaan meri kisi nay yahan dohrai ho

koi anjaan na ho shehr_e_mohabbat ka makeen
kaash har dil ki har ik dil say shnasai ho

yun guzar jata hay faysal tray koochay say
tera waqif na ho jesay koi sodai ho

MAIN NAHIN CHAHTA YEH DUNIA SARI

MAIN NAHIN CHAHTA YEH DUNIA SARI
KHUDARA MUJHE KAR DE TU MAUT TARI

CHAUTI PIYARI AANKHOON MAIN ASHKOON K SAMANDER
DEKHOON TO CHUBHNE LAGTA HAI DIL MAIN KOI KHANJAR
MERI SARI KHUSHION KO UN MAIN TU BANT DE
UN K SARE GUMOON KO DAMAN MAIN MERE CHANT DE
KHUDARA MAN LE ILTAJAIN SARI
YA MUJHE KAR DE TU MAUT TARI

KISI KO MOHABBAT MAIN DUKH NA MILE
AASHIAN KISI KA AB NA JALE
SAB K ASHKOON KO MERI AANKHOON MAIN BASA DE
SAB KI RAHOON K KANTE MERE SEENE MAIN CHUBHA DE
AUR YOUNHI RAKH TU SARA KARWAAN JARI
YA MUJHE KAR DE TU MAUT TARI

KISI KO BHI ROTE MAIN DEKH NAHIN SAKTA
KAMZOOR DIL HAI MAGAR PHENK NAHIN SAKTA
SAB K GUNAHOON KI MUJH KO SAZA DE
JEHANUM SAI KHUDARA SAB KO BACHA LE
PASAND HAI GUNAHOON KO HUM KO BOJH BHARI
MAIN NAHIN CHAHTA YEH DUNIA SARI

MAZLOMOON PER SITAM MAIN DEKH RAHA HOON
SURKH AANKHAIN NUM MAIN DEKH RAHA HOON
TISHNA MUSALMANI TERI KAHAN PE KHO GAI
EEMAN KI SEHAR HAI KAHAN PE SOO GAI
HI MUHAFIZ LOOT RAHA HAI KHUD HI SAWARI
MUJHE KAR DE KHUDARA TU MAUT TARI

KAI RASTE KAI MOR HAIN TU JAHAN CHAHE NIKAL JAI

KAI RASTE KAI MOR HAIN TU JAHAN CHAHE NIKAL JAI
MERA JISM TO MAUM HAI BAHAR NIKLOON TO PIGHAL JAI
TEZ RASTOON KI DOOR MAIN RUKA TO MAIN GIR JAONGA
TEZ DORA TO HATH TERA HATHOON SAI MERE NIKAL JAI
AAJ KHAMOSHI KUCH ZIADA HAI, AUR RAUSHNI KUCH KUM
AAJ AGAR TU AAJAI TO MAUSAM SARA BADAL JAI
MERE WASTE INTZAAR MAIN WO KAI DINOON SAI UDAAS HAI
JHOTI MAGAR BATAIN KARO SHAYAD YEH DIL BEHAL JAI
EK PARWANE K JAISI ZINDAGI MERI BAN GAI AB
GAR DOOR RAHE TO TARPE AUR PAAS AAI TO JAL JAI
WO AAIGI WO AAIGI AFWAIN AISI PEHLAO K DIL
BOHAT DINOON SAI UDAAS HAI HO SAKTA HAI MACHAL JAI
TISHNA WO BAWAFA HAI TU AAI MERE SAMNE EK PAL
DIL JALA HAI AAJ BOHAT SHAYAD YEH AANKH UBAL JAI

AE DOST ZINDAGI MAIN AISE PAL BHI AAI HAIN

AE DOST ZINDAGI MAIN AISE PAL BHI AAI HAIN
HUM NE LAL-O-GOHAR AUR YAQOOT BHI THUKRAI HAIN
US KI KHUSHI KI KHATIR GUNGUNANA ADAT BANI
MUSEEBATOON K TOFANOON MAIN BHI HUM MUSKIRAI HAIN
RATOON KO KISI K SANG HUM NE EK LAMHE MAIN BITA DIA
APNE HI GHAR MAIN KAI BAAR HUM CHOR BAN KER AAI HAIN
SIWA US K PAL KATINA BARI BAAT HOTI THI
KHUDA NE HUM KO HIJR K SAU BARAS BHI DIKHAI HAIN
HUMAIN UDAS DEKH KER AKSAR WO ROOTTH JATA THA
AAJ USI DILBER NE ASHKOON K SAMANDER RULAI HAIN
TISHNA USE CHAHTE REHNA SOCHOON TO NADANI HAI
MAGAR KIA KAROON JITNA BHULAYA UTNA WO YAAD AAI HAIN

MERI RAUNAQ TU PEHCHAN HAI TU

MERI RAUNAQ TU PEHCHAN HAI TU
MERI ZINDAGI TU EEMAAN HAI TU
BIN TERE BE RANG DUNIA SARI
EK SANS LENA BHI KITNA BHARI
YEH ROH-O-JISM BEKAR HAIN SAB
MERE JEENE KA SAMAAN HAI TU

HER LAFZ TERA TAQDEER HAI MERI
MERA HER KHAYAL TASVEER HAI TERI
SARE AZEEZ GAIR HAIN LAGTE
EK MERA APNA MEHMAAN HAI TU

NA MAIN BEWAFA NA MAIN BEQADAR
GUNAHGAR HOON MUJH KO HAI KHABAR
MERI NEKION KA SILA HAI TU
MERE RAB KA EHSAAN HAI TU

TISHNA GAR TUJHE BHOOL JAI
USI PAL MAIN ISAI MAUT AAI
TUJHE BADNAAM KAISE KARTA GUL
MERI IZAT TU GIRABAAN HAI TU

Popular Posts