Monday, April 27, 2009

sabhi kuch hai tera diya hua

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahatein sabhi kalafatein 
kabhi sohbatein kabhi furqatein kabhi duuriyaauN kabhi qurbatein 

ye suKhan jo ham ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke 
koi lamhaa subah-e-visaal kaa, kai shaam-e-hijr ki qurbatein 

jo tumhaari maan lein naasihaa to rahegaa daaman-e-dil mein kya 
na kisi uduu ki adaavatein na kisi sanam ki muravvatein 

chalo aao tum ko dikhaayeiN ham jo bachaa hai maqtal -e-shahar mein 
ye mazaar ahal-e-safaa ke hain ye hain ahal-e-sidq ki turbatein 

meri jaan aaj kaa Gham na kar ke naa jaane kaatib-e-vaqt ne 
kisi apane kal mein bhi bhuul kar kahin likh rakhi ho masarratein

Popular Posts