Monday, April 27, 2009

sulagtey labon pey giraa aur paanii

sulagtey labon pey giraa aur paanii 
barii tishnigii hai pilaa aur paanii 

sunaa jab wahaa'n pyaas bujhtii hai sab kii 
samandar kiii jaanib gaya aur paanii 

chaleingey to taazaa raheingey hameshaa 
hawaa, khoon, samaa, raastaa aur paanii 

tahey Khaak e sehraa milii aur khushkii 
samandar kii teh sey milaa aur paanii 

sunaa hai k shehro'n mein biktey hain aksar 
lahoo, jism, insaan, wafaa aur paanii 

samandar nadii piii gaya aur bolaa 
zaraa aur paani, zaraa aur paanii 

Feroz us ney poochaa k kyun aankh nam hai 
merii aankh mein bhar gaya aur paanii

Popular Posts