Friday, July 31, 2009

Dost'dushman ko batana kahen par jata ha

Dost'dushman ko batana kahen par jata hai
u bhe ye rishta nibhana kahen par jata hai

kajj tu ham rakhte hain dastar-e-ana ko apni
kia kahen'sar ko jhokana kahen par jata hai

apne mazi ka koe naqsh sambhalay rakhna
kaun thay,kia thay,batana kahen par jata hai

wo tu milne ki bohat karta hai koshish ham se
rah main uski zamana kahen par jata hai

kia ye lazim hai har baar hadaf bhe ho koe
teer be-simt chalana kahen par jata hai

kia zarori hai k lo ham se mulaqat ka waqt
yaroun be-waqt bhe jana kahen par jata hai

Meer sahab ki tarha kahay ko rotay gozray
han hamain hansna hansana kahen par jata hai

No comments:

Popular Posts