Friday, July 31, 2009

Shikasta aainaun ki kirchiyaan acchi nahin lagteen

Shikasta aainaun ki kirchiyaan acchi nahin lagteen
Mujhe waadon ki khaali seepiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Guzishta rut k rangon ka asar dekho k ab mujh ko
Khulay aangan mein urrti titliyaan achhi nahin lagteen
.
.
Woh kiya ujrra nagar tha,jiss ki chahat k sabab ab tak
Hari bailon se uljhi tehniyaan achhi nahin lagteen
.
.
Dabay paaon hawa jin k charaghon se behalti ho
Mujhe aisay gharon ki khirrkiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Bhalay lagtay hain toofaanaun se larrtay baadbaan mujh ko
Hawa k rukh pe chalti kashtiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Yeh keh kar aaj us se bhi talluq torr aaya hoon!
Meri Jaan,mujh ko ziddi larrkiyaan achhi nahin lagteen
.
.
Kiss ghar mein rasn basta rahain jo raat din faysal
Mujhe aksar woh sehmi hirniyaan achhi nahin lagteen...!!!

No comments:

Popular Posts