Friday, July 31, 2009

Misal-e-Mouj-e-Hawa Dar-ba-Dar Wo Aisa Tha

Misal-e-Mouj-e-Hawa Dar-ba-Dar Wo Aisa Tha
Bicher Kay Phir Na Mila, Humsaffer Wo Aisa Tha

Khud Apney Sir Lia Ilzam-e-Bewaffai Tak..!!
Kaha Na Kuch Bhi Usey, Moutber Aisa Tha

Usey Basaai Howay Thi Bala Ki Rawani....!!
Diya-e-Hijar Mai Abaad Gher Wo Aisa Tha

Kay Jaisay Chand Musaafut Se Maand Par Jai
Pas-e-Ghilaf-e-Ghubaar-e-Saffer Wo Aisa Tha

Bus Ek Khawaab Ne Neendain Nichore Leen Apni..!
Sama Gaya Meri Nus Nus Mai, Dar Wo Aisa Tha

Laho Laho Meri Ankhain, Hai Taar Taar Qaba
Kay Hadsa He Meri Jaan Mager Wo Aisa Tha

Zameen Pay Us Kay Kattay Bazuoon Ka Saya Hai..!
Addu Kay Samnay Seena Sapper Wo Aisa Tha

Usi Ka Kaam Tha Zakhmoon Ki Parwarish faysal
Usi Kay Naam Duaa, Chahrager Wo Aisa Tha.......!!!!

No comments:

Popular Posts