Thursday, August 20, 2009

Aariza laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se

Aariza laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se
Bas usi ki soch mein baiThe hain tanha shaam se

Ishq ki baatein kiye jaate ho khaas o aam se !
Dar nahi lagta tumhein Mansoor k anjaam se !

Shehr bhar k aaene toRe gi ye be-pardagi
Ghar se mat nikle, kaho us aaena-andaam se!

'Pyar dein ge", wo hamein kehte hain, 'pehle jaan do'
Main to muflis hi bhala aaise kisi ikraam se

Qissa-e-ulfat mein zikr-e-sar-khushi, aasoodgi
Ishq k ilzaam tak hai, vasl k ayyaam se

Mere ghar mein neem-shab hoti hain mehv-e-guftgu
Wehshatein, tanhaaiyaaN, deevaar o dar se, baam se

Mai na ho to aansuoN se bhar lia karte hain ham
Kya bataayeN, kis qadar uljhan hai khaali jaam se

Baadah-khwari ki tavaqqo aap se hargiz na thi !
Haif Zaamil ! aap bhi ghabraa gaye aalaam se

Aao faysal se zara milvaayeN tum ko, ye hain wo
Dehr mein badnaam se aur ishq mein nakaam se

* * * * * * * * 

No comments:

Popular Posts