Thursday, August 20, 2009

" Khud-Gharzi Ki Eik Nazm "

Ye mere dil ka charaagh bujh kar
DhuaaN wo de ga
K tum ko dunia k rang
Pheeke lagein ge saare!
Ye mere dil ka charaagh bujh kar
Tumhaari dunia mein teergi ka
Ik aaisa khole ga baab jis mein
Kisi bhi jaanib se
Raushni ka
Guzar na hoga!
Ye mere dil ka charaagh bujh kar
Tumhaari aankhoN ka noor le ga!
Ye mere dil ka
Charaagh
Aakhir ko bujh to jaaye ga yaar!
Lekin
Tumhaare dil ka
Qaraar le ga!
Tumhaari raatoN ki neend le ga
Tumhein jo de ga
Wo teergi k siva to kucH bhi nahi hai janaaN!
So is ko bujhne se tum bachaana!
K mere dil ka
Charaagh
Raushan raha to phir ye
Hamaari aankhoN ka noor hoga!
Hamaare dil ka qaraar hoga!
Isi k dam se to hoN gi raushan
Hamaari subhein,
Hamaari shaamein
So is ko bujhne se tum bachaana
Nahi to phir ye charaagh bujh kar
DhuaaN wo de ga
K tum ko dunia k rang
Pheeke lagein ge saare...!

* * * * * * *



No comments:

Popular Posts