Tuesday, February 9, 2010

hawwa ki beti

sadyoN say dasht-e-zulmat maiN chalti hoi
hawwa ki beti
har aadam zaaday say keh rahi hai
kay maiN to ik dharti hooN
jo phooloN say khooshboouN say,
rangoN say, titliyoN say
saja deti hai gulshan saaray
aasmaaN hooN jis ki aaghosh maiN paltay haiN
sooraj, chaand, sitaray
maiN to misl-e-shamma deti hooN roshni lekin
khood kiuN tarasti hooN roshni kay liyay
na jaanay kitnay wajood ko deti hooN zindagi lekin
khood kiyoN tarasti hooN zindagi kay liyay
meri mata-e-zeest hai
muhabbatoN ka aangan,etmaad ki dehleez,
tahaffoz ki fiza
jo mil jaay to hooN muhabbat ka aab-e-rawaN
jo na mil paay to ban jati hooN ik koh-e-garaaN
apnay zakhmoN maiN soolagti hoi ik aatish fishaaN
maiN koN hooN
kehtay haiN is zamiN pay faqat
maiN hooN aadam ki oomang
"kehtay haiN wajood-e-zan say hai tasveer-e-kainaat maiN raang"
phir kiyoN lamha lamha bikhar rahi hooN
phir kiyoN apnay aangan maiN
aadam zadoN kay haathooN mar rahi hooN
dasht-e-zulmat maiN chalti hoi hawwa ki beti
har aadam zaaday say ye
saadyoN say keh rahi hai...

No comments:

Popular Posts