Tuesday, February 9, 2010

Socha nahin achha bura,

Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !



Dekha tujhay, socha tujhay, chaha tujhay, pooja tujhay,
Meri khata meri wafa, teri khata kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din....................



Jis par hamari aankh nay moti bichayey raat bhar,
Bheja wahi kagaz usay, hamnay likha kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din....................



Ik shaam ki dahleez par, baithay rahey woh dher tak,
Aankhon say kee batain bahut, munh say kaha kuch bhi nahin !
Maanga khuda say raat din....................



Socha nahin achha bura, dekha suna kuch bhi nahin,
Maanga khuda say raat din, teray siva kuch bhi nahin !

No comments:

Popular Posts