Tuesday, February 9, 2010

Yeh karen aur woh karen,

Yeh karen aur woh karen, aisa karen vaisa karen,
Zindagi do din ki hai, do din mein hum kya kya karen !



Jee mein aaata hai ki dein parday say pardey ka jawaab,
Hum say woh parda karen, duniya say hum parda karen !



Sun raha hoon kuch lutayray aa gayey hain shehar mein,
Aaap jaldi bandh apnay ghar ka darwaza karen !



Is puraani be-wafa duniya ka rona kab talak,
Aaiyey mil-jul kay ik duniya nayee paida karen !



Yeh karen aur woh karen, aisa karen vaisa karen,
Zindagi do din ki hai, do din mein hum kya kya karen !

No comments:

Popular Posts