Tuesday, April 27, 2010

aankhon sey ansoen ko ubherny nahi dia

aankhon sey ansoen ko ubherny nahi dia
matti mein in motion ko bhkerny nahi dia 

jis rah par parey they tery qadmon key nishaan
iss rah sey meiny kisi ko guzerny mahi dia 

chaha to chahton ki hadon sey guzer gey
nashha mohabton ka uterny nahi dia 

har bar hai nia trey milny ka ziaqa
esa samar kissi bhi shajer ney nahi dia 

ye hijer hai to is ka faqat wasal hai elaaj
hum ney waqat ko ye zakham bherny nahi dia 

etny barey jahan mein too jay ga kahan
buss is aik khial ney mujhy marney nahi dia 

iss ney hansi hansi mein mohabat ki baat ki
orr phir faysal meiny ussy mukerny nahi dia

No comments:

Popular Posts