Tuesday, April 27, 2010

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
Raat kaali sahi koi gham na karo

Ik sitara bano jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Baant'ni hai agar baant lo har khushi
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi

Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Ashk anmool hain kho na dena kahin
In ki har boond hai motiyoon se haseen

In ko har ankh se tum churatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

Faaslay kam karo dil milatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho

No comments:

Popular Posts