Tuesday, April 27, 2010

Ager kabi tum janna chaho

Ager kabi tum janna chaho
k tum mere liye kia ho
to sun lo
merii har sans main tum ho
meri har dharkan mein tum ho
meri har ahat mein tum ho
meri har chahat main tum ho
mere har lafz main tum ho
har nam tumhara nam hai
har bat tumhari bat hai
har lafz jo mere lab par hai
wo tumhara kaha hua hai
har lamhe mere zehen main tum ho
har khawab main tum ho
har nazar main tum ho
har lamhe mere khiyalon main tum ho
har yaad tumhari yaad hai
har yaadon main tumhari yaadein hain
har chehre main tumhara chehra hai
har sitare main lagta hai
tumhara kangan chamakraha hai
har khushbo tumhare
badan ki khushbo lagti hai
chand main tumhara chehra dikhta hai
meri har adat tumhari adat hai
mera ye jewan tumhara nam hai
meri zindagi tumhare nam hai
meri zindagi tumse hai
meri pehli aur akhri mohabbat tum ho

No comments:

Popular Posts