Tuesday, April 20, 2010

Yeh mere haath ki garmi Jise choo ker

Yeh mere haath ki garmi
Jise choo ker
Tumhain aankh main hairat ke doure hain
Keh isse qabal jab bhi tumne mera haath thama
Barf ka mousam hi paya
Yeh mousam mere andar kitne berson se firokash tha
Bahar ati thi
Aur mere dareechon per kabhi dastuk na deti thi
Gulaabi baarishen
Mere liye mamnoo thi'n
Aur subha ki taza hawa ka zaiqa
Main bhool bethi thi
Mere malboos se sub garam rangon ko shikayat thi
Mujhe bus baraf ki chader pehenane ki ijazat thi
Magar janaa'n!
Tumhare saath ne to rooh ka mousam badal dala
Yahan ab rang ka tehwaar hai
Khushboo ka mela hai
Mera malboos ab gehra gulaabi hai
Mere khuwabon ka chehra mahtaabi hai
Mere haathon ki hiddat aaftabi hai jise choo ker...

No comments:

Popular Posts