Wednesday, May 5, 2010

tera aana meri dunya main aur chala jana

tera aana meri dunya main aur chala jana
jese ik phool ka bahaar main murjhaa jana....

dil ki dunya main bus k zindagi ko mehkaana
aur phir dour ja k deep sab bujhaa jana.....

Khushki sey chal k samandar k beech le aana
aur manjdhaar main yoon chor k chala jana.......

douri-ey-tashnagi k ehad ki wafa k liye
Lab-e-Furaat say piyaasa mujhe lota jana....

umer bher sath nibhanay ka ehad kar k ey Dost..
do kadam chal k hi daman ko yooon chhura jana........

tere firaaq main gar jaan chali jaey tu..
meri laash pe ik ashk tuu baha jaana..................

No comments:

Popular Posts