Wednesday, May 5, 2010

Tum jo pal bher ko tehar jayoo, to ye lamhe bhi

Tum jo pal bher ko tehar jayoo, to ye lamhe bhi
Aney wale kayi lamhoo ki amanat ho jaye
Tum jo tehar jayoo tou … ye raat , … ye mehtaab
Ye sabza ye gulab or hum dono k khuwab ,
Sab k sab aesay mubhim ho k haqiqat ho jaye ….
Tum tehr jayoo k unwan ki tafseer ho Tum …
Tum se talqi e oqatt ka mousam badley,
Raat to kiya badle g , haalat to kiya badley gein
Tum jo tehr jayoo to meri Zaat ka mousam badley …
Meharbaa ho k na tehroo to , phir u tehroo ,
Jesay pal bher koi khuwab e tamana tehrey …
Jesay darwesh madha nosh k piyaley main kabhi ,
… aik do pal k liye talqe duniya there ..
Tehr jaoo k madarat k maey khaney main ..
Chaltey chaltey aik adh suboo ho jaye
Iss se pehle k koi lamha e ayinda ka teer ,
Iss terha aye k pewasta e guloo ho jaye

No comments:

Popular Posts