Wednesday, May 5, 2010

use anjanay raaston se guzar janay ki khawahish thi

use anjanay raaston se guzar janay ki khawahish thi
Muhabbat mein amar honay ki
Mar janay ki khawahish thi
Woh kehta tha keh jeewan teergi hai
Or hamain is teergi mein
Rang bharnay hain
Roshni k
Yeh ham ko mukhtasir se
Chand lamhay jo qismat se mayassar hain
Yeh lamhay ham donon ko baham
Muhabbat se abad karnay hain
Kisi ko daikhna hai or
Kisi se baat karni hai
Jahan yeh din guzar jayen
Wahin pe raat karni hai
Woh kehta tha
Muhabbat ka koi mausam nahin hota
Yeh har mausam ka jazbah hai
Kabhi bhi kam nahin hota
Adhoori si muhabbat hai
Hamain takmeel karni hai
Mauhabbat ko nayi dhab se basar karnay ki khawahish thi
use shab bhar jagati hai
Na janay konsi chahat
use har pal rulati hai
Shanasa tha....magar
Har aik se anjan rehta tha
Bohat abad tha...lekin
Sada weeran rehta tha
use har shakhs ko
Hairan kar janay ki khawahish thi
Muhabbat mein amar honay ki ..... Mar janay ki khawahish thi

No comments:

Popular Posts