Thursday, June 24, 2010

Aye ishq ye sab duniyawale bekar ki baatine karte hai,


Aye ishq ye sab duniyawale bekar ki baatine karte hain,
payal ke ghamon ka ilm nahi chhankar ki baatine karte hai.

Har dil me chhupa hai teer koi har paon mein zanjeer koi,
puchhe koi unke gam ke maze jo pyar ki baatine karte hain,

Ulfat ke naye deewanon ko kis tarha se koi samjaye,
nazron pe lagi hai pabandi deedar ki baatine karte hain,

Bhanwarne hai agar madhosh to kya parwane bhi hai khamosh to kya,
sab pyar ke nagme gate hai sab yaar ki baatine karte hain,

No comments:

Popular Posts