Wednesday, June 9, 2010

Main kisi kamsin ki aankho ka khwab hun

Main kisi kamsin ki aankho ka khwab hun,
Mujhko sharaab na do main khud sharaab hun.

Jalwa tujhe mila hai to husn e nazar mujhe,
Mera jawab tu hai main tera jawab hun.

Tujhko sukun naseeb mujhe beqaraariyan,
Tu chand hai, main jalta hua aaftaab hun.

Dil ka warak warak hai tumhara hi aaina,
Jisme tumhara zikr hai main wo kitaab hun.

shahar shahar me ruswa hu isliye
Kuch to mijaz shokh hain kuch behijab hun

No comments:

Popular Posts